ye gham KHushiyon ki kyon mujh par nazar hone nahin dete
ye ġham ḳhushiyoñ kī kyoñ mujh par nazar hone nahīñ dete
mujhe āġhosh meñ le kar sahar hone nahīñ dete
baḌī ḳhāmoshī se rahte mizha-e-dil pe ye aañsū
kisī ko dard kī mere ḳhabar hone nahīñ dete
shajar par dil ke baiThe haiñ parinde hijr ke kuchh yuuñ
ki shāḳhoñ par mohabbat ke samar hone nahīñ dete
sajā kar log sapne ik hasīñ sā ghar banāne ke
banā lete makāñ par us ko ghar hone nahīñ dete
ye gham KHushiyon ki kyon mujh par nazar hone nahin dete
mujhe aaghosh mein le kar sahar hone nahin dete
baDi KHamoshi se rahte mizha-e-dil pe ye aansu
kisi ko dard ki mere KHabar hone nahin dete
shajar par dil ke baiThe hain parinde hijr ke kuchh yun
ki shaKHon par mohabbat ke samar hone nahin dete
saja kar log sapne ek hasin sa ghar banane ke
bana lete makan par us ko ghar hone nahin dete
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.