ye gham rahega mere sath umr bhar shayad
ye ġham rahegā mire saath 'umr bhar shāyad
ye mere sabr-o-qanā'at kā hai samar shāyad
maiñ hañste hañste achānak se rone lagtī huuñ
mire mizāj pe mausam kā hai asar shāyad
koī umiid nahīñ hai tumhāre milne kī
mire nasīb meñ likkhā ho ye magar shāyad
vo mere dil se nikal hī nahīñ rahā logo
vo mere dil ko samajhtā hai apnā ghar shāyad
koī bhī shaḳhs mirī soch kā nahīñ miltā
mire junūn kā tanhā kaTe safar shāyad
maiñ yuuñ bhī she'r kī sūrat meñ baat kartī huuñ
ki merī baat meñ aa jaa.e kuchh asar shāyad
mile haiñ zaḳhm zamāne se jis qadar mujh ko
kisī ko zaḳhm mile hoñ na is qadar shāyad
vo mere dil kā talabgār hai na sūrat kā
vo chāhtā hai ḳhamīda mirā ye sar shāyad
to yās-o-ḳhauf kī shiddat se log mar jaate
agar ye lafz na hote kabhī agar shāyad
hamārī chhat pe parindoñ kā aanā jaanā hai
isī jagah pe kabhī thā koī shajar shāyad
ye tark-e-rabt-e-mohabbat tumhārā jurm nahīñ
tumhāre baḳht meñ thī hī nahīñ 'sahar' shāyad
ye gham rahega mere sath 'umr bhar shayad
ye mere sabr-o-qana'at ka hai samar shayad
main hanste hanste achanak se rone lagti hun
mere mizaj pe mausam ka hai asar shayad
koi umid nahin hai tumhaare milne ki
mere nasib mein likkha ho ye magar shayad
wo mere dil se nikal hi nahin raha logo
wo mere dil ko samajhta hai apna ghar shayad
koi bhi shaKHs meri soch ka nahin milta
mere junun ka tanha kaTe safar shayad
main yun bhi she'r ki surat mein baat karti hun
ki meri baat mein aa jae kuchh asar shayad
mile hain zaKHm zamane se jis qadar mujh ko
kisi ko zaKHm mile hon na is qadar shayad
wo mere dil ka talabgar hai na surat ka
wo chahta hai KHamida mera ye sar shayad
to yas-o-KHauf ki shiddat se log mar jate
agar ye lafz na hote kabhi agar shayad
hamari chhat pe parindon ka aana jaana hai
isi jagah pe kabhi tha koi shajar shayad
ye tark-e-rabt-e-mohabbat tumhaara jurm nahin
tumhaare baKHt mein thi hi nahin 'sahar' shayad
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.