ye ghani chhanw ye ThanDak ye dil-o-jaan ka sukun
ye ghani chhanw ye ThanDak ye dil-o-jaan ka sukun
Ram Krishn Muztar
MORE BYRam Krishn Muztar
ye ghanī chhāñv ye ThanDak ye dil-o-jāñ kā sukūñ
merī āñkhoñ pe tire gesu-e-pur-ḳham to nahīñ
lazzat-e-dard vahī hai vahī kaifiyyat-e-zīst
iltifāt-e-nigah-e-nāz abhī kam to nahīñ
dil ke armān machalte hī chale jaate haiñ
ye siyah-rāt tirī kākul-e-barham to nahīñ
uljhaneñ shauq kī baḌhtī hī chalī jaatī haiñ
aaj zulfoñ meñ tirī koī nayā ḳham to nahīñ
ḳhud ko bhūle hue duniyā se gurezāñ rahnā
ye kahīñ terī mohabbat hī kā aalam to nahīñ
DabDabā aa.eñ mujhe dekh ke āñkheñ us kī
haa.e be-dard mire dard-e-moharram to nahīñ
rah ga.iiñ jam ke ye kis par mirī nazreñ 'muztar'
rū-ba-rū aaj vahī husn-e-mujassam to nahīñ
ye ghani chhanw ye ThanDak ye dil-o-jaan ka sukun
meri aankhon pe tere gesu-e-pur-KHam to nahin
lazzat-e-dard wahi hai wahi kaifiyyat-e-zist
iltifat-e-nigah-e-naz abhi kam to nahin
dil ke arman machalte hi chale jate hain
ye siyah-raat teri kakul-e-barham to nahin
uljhanen shauq ki baDhti hi chali jati hain
aaj zulfon mein teri koi naya KHam to nahin
KHud ko bhule hue duniya se gurezan rahna
ye kahin teri mohabbat hi ka aalam to nahin
DabDaba aaen mujhe dekh ke aankhen us ki
hae be-dard mere dard-e-moharram to nahin
rah gain jam ke ye kis par meri nazren 'muztar'
ru-ba-ru aaj wahi husn-e-mujassam to nahin
- Raqs-e-bahar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.