ye hadsa bhi dekh jo mujh pe guzar gaya
ye hādsa bhī dekh jo mujh pe guzar gayā
fasl-e-bahār aa.ī to dil kā shajar gayā
aisā huā sitam ki kahīñ ke nahīñ rahe
aisā huā karam ki mohabbat kā Dar gayā
gar dekhnā hai mo.ajiza parvāz kā tujhe
us ko fazā meñ dekh jo be-bāl-o-par gayā
mātam karūñ na kis liye maiñ aise shaḳhs kā
manzil to mil ga.ī jise zauq-e-safar gayā
ubhre baġhair chāñd bhī ab ke huā ġhurūb
ya.anī nasha chaḌhā bhī nahīñ aur utar gayā
pyāse ke paas kab bhalā paanī gayā kabhī
bādal ye kah ke pyāse ke sar se guzar gayā
ab maut kā bhī koī taqāzā na ho 'ḳhizar'
har shaḳhs zindagī ke taqāzoñ se mar gayā
ye hadsa bhi dekh jo mujh pe guzar gaya
fasl-e-bahaar aai to dil ka shajar gaya
aisa hua sitam ki kahin ke nahin rahe
aisa hua karam ki mohabbat ka Dar gaya
gar dekhna hai moajiza parwaz ka tujhe
us ko faza mein dekh jo be-baal-o-par gaya
matam karun na kis liye main aise shaKHs ka
manzil to mil gai jise zauq-e-safar gaya
ubhre baghair chand bhi ab ke hua ghurub
yani nasha chaDha bhi nahin aur utar gaya
pyase ke pas kab bhala pani gaya kabhi
baadal ye kah ke pyase ke sar se guzar gaya
ab maut ka bhi koi taqaza na ho 'KHizar'
har shaKHs zindagi ke taqazon se mar gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.