ye hadson ka naya silsila lage hai mujhe
ye hādsoñ kā nayā silsila lage hai mujhe
ḳhud apne aap meñ kuchh TūTtā lage hai mujhe
zamīn-e-dil pe ye ummīd kā udaas shajar
ġhamoñ kī dhuup meñ jhulsā huā lage hai mujhe
sunā rahī hai jo duniyā ba-tarz-e-barbādī
ye vāqi’a to ḳhud apnā hī sā lage hai mujhe
tire sulūk se is darja Dar gayā huuñ maiñ
ḳhud apne aap se bhī ḳhauf sā lage hai mujhe
tirā karam to mire haal se numāyāñ hai
vo koī aur hai jo bevafā lage hai mujhe
dikhā.ī detā hai apnī havas kā 'aks is meñ
tirā badan bhī ik ā.īna sā lage hai mujhe
na jaane shahr meñ kyā baat ho ga.ī 'unvān'
har ek chehre pe ik ḳhauf sā lage hai mujhe
ye hadson ka naya silsila lage hai mujhe
KHud apne aap mein kuchh TuTta lage hai mujhe
zamin-e-dil pe ye ummid ka udas shajar
ghamon ki dhup mein jhulsa hua lage hai mujhe
suna rahi hai jo duniya ba-tarz-e-barbaadi
ye waqi’a to KHud apna hi sa lage hai mujhe
tere suluk se is darja Dar gaya hun main
KHud apne aap se bhi KHauf sa lage hai mujhe
tera karam to mere haal se numayan hai
wo koi aur hai jo bewafa lage hai mujhe
dikhai deta hai apni hawas ka 'aks is mein
tera badan bhi ek aaina sa lage hai mujhe
na jaane shahr mein kya baat ho gai 'unwan'
har ek chehre pe ek KHauf sa lage hai mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.