Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ye haha-kar kuchh hai

Pandit Vidya Rattan Asi

ye haha-kar kuchh hai

Pandit Vidya Rattan Asi

MORE BYPandit Vidya Rattan Asi

    ye hāhā-kār kuchh hai

    ġhalat sarkār kuchh hai

    siyāsat yaar kuchh hai

    vatan se pyaar kuchh hai

    mohabbat pyaar kuchh hai

    hameñ darkār kuchh hai

    ye us ke paar kuchh hai

    maza mañjhdār kuchh hai

    kahīñ isrār kuchh hai

    ufuq ke paar kuchh hai

    davā tīmār kuchh hai

    mujhe āzār kuchh hai

    na tum vo ho na maiñ huuñ

    samay maar kuchh hai

    kise terī ḳhabar duuñ

    kahīñ ghar-bār kuchh hai

    diloñ meñ rabt-e-bāham

    agar dushvār kuchh hai

    sukūñ se chain se huuñ

    yaqīnan haar kuchh hai

    mohabbat aur 'āsī'

    pas-e-dīvār kuchh hai

    ye haha-kar kuchh hai

    ghalat sarkar kuchh hai

    siyasat yar kuchh hai

    watan se pyar kuchh hai

    mohabbat pyar kuchh hai

    hamein darkar kuchh hai

    ye us ke par kuchh hai

    maza manjhdar kuchh hai

    kahin israr kuchh hai

    ufuq ke par kuchh hai

    dawa timar kuchh hai

    mujhe aazar kuchh hai

    na tum wo ho na main hun

    samay ki mar kuchh hai

    kise teri KHabar dun

    kahin ghar-bar kuchh hai

    dilon mein rabt-e-baham

    agar dushwar kuchh hai

    sukun se chain se hun

    yaqinan haar kuchh hai

    mohabbat aur 'asi'

    pas-e-diwar kuchh hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now