ye haal hai mere dil ka teri nazar ke qarib
ye haal hai mire dil kā tirī nazar ke qarīb
ho jis tarah se nasheman koī sharar ke qarīb
ziyā hai dil ke sulagne kī bām-o-dar ke qarīb
shab-e-firāq khiñch aa.ī hai yā sahar ke qarīb
mahakte zaḳhm idhar haiñ dil-o-jigar ke qarīb
udhar gulāb hai bālīñ pe zulf-o-sar ke qarīb
hai dhuup gardish-e-daurāñ kī tez kuchh aisī
ki apnā saaya bhī aatā nahīñ hai Dar ke qarīb
use kahīñ lab-o-ruḳhsār mil ke luuT na leñ
hayāt aa.ī hai kyoñ shabnam-o-sharar ke qarīb
hinā.ī haath uThe the salām karne ko
hai aañch un kī hamāre dil-o-jigar ke qarīb
galī galī meñ vo phirtā hai aaj āvāra
kabhī jo aa ke basā thā tumhāre ghar ke qarīb
na jaane kab koī is rahguzar pe aa nikle
jalā.e baiThe haiñ ik sham.a rahguzar ke qarīb
koī to baat hai bigḌe hue jo tevar haiñ
kahāñ se aa ga.e patthar ye shīshagar ke qarīb
vo ham nahīñ ki jo bhāgeñ bahār ke pīchhe
bahār aatī hai chal kar hamāre ghar ke qarīb
ye haal hai mere dil ka teri nazar ke qarib
ho jis tarah se nasheman koi sharar ke qarib
ziya hai dil ke sulagne ki baam-o-dar ke qarib
shab-e-firaq khinch aai hai ya sahar ke qarib
mahakte zaKHm idhar hain dil-o-jigar ke qarib
udhar gulab hai baalin pe zulf-o-sar ke qarib
hai dhup gardish-e-dauran ki tez kuchh aisi
ki apna saya bhi aata nahin hai Dar ke qarib
use kahin lab-o-ruKHsar mil ke luT na len
hayat aai hai kyon shabnam-o-sharar ke qarib
hinai hath uThe the salam karne ko
hai aanch un ki hamare dil-o-jigar ke qarib
gali gali mein wo phirta hai aaj aawara
kabhi jo aa ke basa tha tumhaare ghar ke qarib
na jaane kab koi is rahguzar pe aa nikle
jalae baiThe hain ek shama rahguzar ke qarib
koi to baat hai bigDe hue jo tewar hain
kahan se aa gae patthar ye shishagar ke qarib
wo hum nahin ki jo bhagen bahaar ke pichhe
bahaar aati hai chal kar hamare ghar ke qarib
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.