ye haal mah-o-sal hai firaq se visal tak
ye haal māh-o-sāl hai firāq se visāl tak
hayāt ko zavāl hai firāq se visāl tak
ulajh rahe haiñ mustaqil talāsh-e-sādgī meñ ham
ye zindagī to jaal hai firāq se visāl tak
vo kis tarah karūñ bayāñ jo ho ḳhushī kī dāstāñ
malāl hī malāl hai firāq se visāl tak
gumāñ ko kis tarah likhūñ haqīqatoñ kā tarjumāñ
ḳhayāl hī ḳhayāl hai firāq se visāl tak
sukūñ kī niiñd hai kahāñ thamegā kab ye kārvāñ
ubaal hī ubaal hai firāq se visāl tak
yaqīñ meñ kuchh gumān hai gumāñ meñ kuchh yaqīn hai
yahī diloñ kā haal hai firāq se visāl tak
'adīl' dar-ba-dar haiñ ham javāb kī talāsh meñ
savāl hī savāl hai firāq se visāl tak
ye haal mah-o-sal hai firaq se visal tak
hayat ko zawal hai firaq se visal tak
ulajh rahe hain mustaqil talash-e-sadgi mein hum
ye zindagi to jal hai firaq se visal tak
wo kis tarah karun bayan jo ho KHushi ki dastan
malal hi malal hai firaq se visal tak
guman ko kis tarah likhun haqiqaton ka tarjuman
KHayal hi KHayal hai firaq se visal tak
sukun ki nind hai kahan thamega kab ye karwan
ubaal hi ubaal hai firaq se visal tak
yaqin mein kuchh guman hai guman mein kuchh yaqin hai
yahi dilon ka haal hai firaq se visal tak
'adil' dar-ba-dar hain hum jawab ki talash mein
sawal hi sawal hai firaq se visal tak
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.