ye hai kaun si hikayat ye hai kaun sa tarana
ye hai kaun sī hikāyat ye hai kaun sā tarāna
na shikāyat-e-ġham-e-dil na hikāyat-e-zamāna
vo asar bharī nasīhat vo kalām-e-ārifāna
ki lagā rahā ho jaise koī dil pe tāziyāna
jise kāfirī se raġhbat jise zauq-e-mulhidāna
use kyuuñ pasand aa.e rah-o-rasm-e-momināna
hai sitam kī dhund chhā.ī hai jafā kī fasl aa.ī
hai chaman pe aisā pahrā ki qafas hai āshiyāna
mujhe yaad aa rahī haiñ tirī mahfiloñ kī bāteñ
vo shikāyatoñ kā daftar vo hikāyat-e-shabāna
tire hukm se alag ho tire nuur se judā ho
mirī zindagī meñ baaqī nahīñ aisā koī ḳhāna
nazar-e-karam se mujh ko kabhī dekh le vo shāyad
mire dil kī aarzū hai vo jamāl-e-jāvedāna
hai 'urūj' ye sa.ādat ye hai jail kī masarrat
ki tihāḌ meñ adā ho tirī iid kā dogānā
ye hai kaun si hikayat ye hai kaun sa tarana
na shikayat-e-gham-e-dil na hikayat-e-zamana
wo asar bhari nasihat wo kalam-e-arifana
ki laga raha ho jaise koi dil pe taziyana
jise kafiri se raghbat jise zauq-e-mulhidana
use kyun pasand aae rah-o-rasm-e-mominana
hai sitam ki dhund chhai hai jafa ki fasl aai
hai chaman pe aisa pahra ki qafas hai aashiyana
mujhe yaad aa rahi hain teri mahfilon ki baaten
wo shikayaton ka daftar wo hikayat-e-shabana
tere hukm se alag ho tere nur se juda ho
meri zindagi mein baqi nahin aisa koi KHana
nazar-e-karam se mujh ko kabhi dekh le wo shayad
mere dil ki aarzu hai wo jamal-e-jawedana
hai 'uruj' ye saadat ye hai jail ki masarrat
ki tihaD mein ada ho teri id ka dogana
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.