ye hum hain ki jaur-o-sitam dekhte hain
ye hum hain ki jaur-o-sitam dekhte hain
Munshi Khairati Laal Shagufta
MORE BYMunshi Khairati Laal Shagufta
ye ham haiñ ki jaur-o-sitam dekhte haiñ
sahar uTh ke phir ye qadam dekhte haiñ
tirā lutf jab yaar kam dekhte haiñ
to dil par hujūm-e-alam dekhte haiñ
tire ruḳh pe jab zulf ham dekhte haiñ
ham-āġhosh shādī-o-ġham dekhte haiñ
tumhārī nigāh-e-lutf-āmez ko ham
ġhazab hai ki ab besh-o-kam dekhte haiñ
unhīñ kī tarah be-ġharaz ban ga.e haiñ
jo vo dekhte haiñ to ham dekhte haiñ
tasavvur meñ ruḳhsār-o-gesū ke paiham
baham kufr-o-islām ham dekhte haiñ
tumhārā sū-e-mazra.a-e-ġhair aksar
tarashshoh pe abr-e-karam dekhte haiñ
tire nāz-o-andāz se ai sitamgar
sitam hai sitam par sitam dekhte haiñ
Thahar tū zarā josh-e-betābi-e-dil
abhī ham mizāj-e-sanam dekhte haiñ
likheñge mire sīna-chākī kā mazmūñ
vo hañs kar shigāf-e-qalam dekhte haiñ
nahīñ dekhtī gar hameñ tum to dekho
tumheñ to mohabbat se ham dekhte haiñ
ḳhudā par hai ā.īna ai ā.ina-rū
tumheñ ek muddat se ham dekhte haiñ
ḳhudā aabrū jāñ-nisāroñ kī rakh le
ki vo āb-e-teġh-e-do-dam dekhte haiñ
na māñgeñge ab bosa-e-zulf tum se
qasam hai tumhārī qasam dekhte haiñ
samajhte haiñ sīpārah-e-baḳht āshiq
jo taara koī sub.h-dam dekhte haiñ
shab-e-vasl meñ ai 'shagufta' ḳhushī se
karam yaar kā dam-ba-dam dekhte haiñ
ye hum hain ki jaur-o-sitam dekhte hain
sahar uTh ke phir ye qadam dekhte hain
tera lutf jab yar kam dekhte hain
to dil par hujum-e-alam dekhte hain
tere ruKH pe jab zulf hum dekhte hain
ham-aghosh shadi-o-gham dekhte hain
tumhaari nigah-e-lutf-amez ko hum
ghazab hai ki ab besh-o-kam dekhte hain
unhin ki tarah be-gharaz ban gae hain
jo wo dekhte hain to hum dekhte hain
tasawwur mein ruKHsar-o-gesu ke paiham
baham kufr-o-islam hum dekhte hain
tumhaara su-e-mazra-e-ghair aksar
tarashshoh pe abr-e-karam dekhte hain
tere naz-o-andaz se ai sitamgar
sitam hai sitam par sitam dekhte hain
Thahar tu zara josh-e-betabi-e-dil
abhi hum mizaj-e-sanam dekhte hain
likhenge mere sina-chaaki ka mazmun
wo hans kar shigaf-e-qalam dekhte hain
nahin dekhti gar hamein tum to dekho
tumhein to mohabbat se hum dekhte hain
KHuda par hai aaina ai aaina-ru
tumhein ek muddat se hum dekhte hain
KHuda aabru jaan-nisaron ki rakh le
ki wo aab-e-tegh-e-do-dam dekhte hain
na mangenge ab bosa-e-zulf tum se
qasam hai tumhaari qasam dekhte hain
samajhte hain siparah-e-baKHt aashiq
jo tara koi subh-dam dekhte hain
shab-e-wasl mein ai 'shagufta' KHushi se
karam yar ka dam-ba-dam dekhte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.