ye hum jo harf-gazida kitab rakhte hain
ye ham jo harf-gazīda kitāb rakhte haiñ
isī meñ ahd-e-ziyāñ kā hisāb rakhte haiñ
hai apnī 'umr-e-guzishta hameñ 'azīz bahut
baġhal meñ pāra-e-'ahd-e-shabāb rakhte haiñ
to aur shaiḳh se kyā pūchhtā maiñ is ke sivā
sharāb thoḌī sī 'aalī janāb rakhte haiñ
isī pe takiya-nashīñ haiñ shahān-e-māh-o-nujūm
jo boriyā tire ḳhāna-ḳharāb rakhte haiñ
phir us meñ ārzū-o-justujū kā matlab kyā
vo zindagī jo misāl-e-habāb rakhte haiñ
hamārī mushk-e-mohabbat na ḳhushk hogī kabhī
sarishk-e-ḳhūñ se ise ham pur-āb rakhte haiñ
ab aur daulateñ kyā chāhiyeñ faqīroñ ko
na dil meñ ḳhauf na āñkhoñ meñ ḳhvāb rakhte haiñ
ye ahl-e-shahr bahut laa.e ḳhush-jamāloñ ko
kahāñ vo husn meñ terā javāb rakhte haiñ
ye kaise log haiñ haiñ to huzūr-e-shāh magar
diloñ meñ ārzū-e-inqilāb rakhte haiñ
ye hum jo harf-gazida kitab rakhte hain
isi mein ahd-e-ziyan ka hisab rakhte hain
hai apni 'umr-e-guzishta hamein 'aziz bahut
baghal mein para-e-'ahd-e-shabab rakhte hain
to aur shaiKH se kya puchhta main is ke siwa
sharab thoDi si 'ali janab rakhte hain
isi pe takiya-nashin hain shahan-e-mah-o-nujum
jo boriya tere KHana-KHarab rakhte hain
phir us mein aarzu-o-justuju ka matlab kya
wo zindagi jo misal-e-habab rakhte hain
hamari mushk-e-mohabbat na KHushk hogi kabhi
sarishk-e-KHun se ise hum pur-ab rakhte hain
ab aur daulaten kya chahiyen faqiron ko
na dil mein KHauf na aankhon mein KHwab rakhte hain
ye ahl-e-shahr bahut lae KHush-jamalon ko
kahan wo husn mein tera jawab rakhte hain
ye kaise log hain hain to huzur-e-shah magar
dilon mein aarzu-e-inqilab rakhte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.