ye hangame tamashe kam na honge
ye hangame tamashe kam na honge
Zakir Husain Husaini Zakir
MORE BYZakir Husain Husaini Zakir
ye hangāme tamāshe kam na hoñge
magar mahfil meñ terī ham na hoñge
baḌhāo ḳhauf se kashtī na roko
mashīhāo ye tūfāñ kam na hoñge
shab-e-hijrāñ sitāre gin rahe ho
sitāre zaḳhm kā marham na hoñge
zabānoñ par lagā do qufl lekin
kabhī ulfat ke charche kam na hoñge
chaleñge tab sabhī be-ḳhauf ho kar
kisī ke haath meñ jab bam na hoñge
yahāñ jamhūriyat kuchlī ga.ī hai
fasādāt-o-ta.assub kam na hoñge
ġhazal-goī chalegī yuuñ hī 'zākir'
hamāre jaise hoñge ham na hoñge
ye hangame tamashe kam na honge
magar mahfil mein teri hum na honge
baDhao KHauf se kashti na roko
mashihao ye tufan kam na honge
shab-e-hijran sitare gin rahe ho
sitare zaKHm ka marham na honge
zabanon par laga do qufl lekin
kabhi ulfat ke charche kam na honge
chalenge tab sabhi be-KHauf ho kar
kisi ke hath mein jab bam na honge
yahan jamhuriyat kuchli gai hai
fasadat-o-tassub kam na honge
ghazal-goi chalegi yun hi 'zakir'
hamare jaise honge hum na honge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.