ye hansi-KHushi ka mausam ye bahaar ka zamana
ye hañsī-ḳhushī kā mausam ye bahār kā zamāna
tire vāste haqīqat mire vāste fasāna
na sañbhal sakegī tujh se tirī zulf-e-tā-ba-shāna
maiñ abhī se dekhtā huuñ jo dikhā.egā zamāna
jo tirī zabāñ se niklā vahī ban gayā fasāna
mire dil kī dhaḌkanoñ se rahā be-ḳhabar zamāna
mirī ḳhānumāñ-ḳharābī kā jahāñ meñ hai fasāna
ye vo hādisa hai jis ko na bhulā sakā zamāna
maiñ nigāh-e-bāġhbāñ meñ koī aur ho gayā huuñ
abhī chaar din hue haiñ ki jalā hai āshiyāna
tujhe ai ġham-e-mohabbat idhar aa gale lagā luuñ
na tirā kahīñ guzar hai na mirā kahīñ Thikāna
maiñ huuñ vo ġharīb 'ājiz' ki guloñ kī anjuman meñ
mire pairahan ke TukḌoñ kā banā hai shāmiyāna
ye hansi-KHushi ka mausam ye bahaar ka zamana
tere waste haqiqat mere waste fasana
na sanbhal sakegi tujh se teri zulf-e-ta-ba-shana
main abhi se dekhta hun jo dikhaega zamana
jo teri zaban se nikla wahi ban gaya fasana
mere dil ki dhaDkanon se raha be-KHabar zamana
meri KHanuman-KHarabi ka jahan mein hai fasana
ye wo hadisa hai jis ko na bhula saka zamana
main nigah-e-baghban mein koi aur ho gaya hun
abhi chaar din hue hain ki jala hai aashiyana
tujhe ai gham-e-mohabbat idhar aa gale laga lun
na tera kahin guzar hai na mera kahin Thikana
main hun wo gharib 'ajiz' ki gulon ki anjuman mein
mere pairahan ke TukDon ka bana hai shamiyana
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.