ye haqiqat hai meri zat ka nuqsan kiya
ye haqīqat hai mirī zaat kā nuqsān kiyā
maiñ ne jis shaḳhs pe tā-umr baḌā maan kiyā
shahr kī samt nayā rasta banāne ke liye
peḌ kaaTe ga.e aur gaañv ko vīrān kiyā
yaar dushman se mile saañs ko maflūj kiyā
hausla haarā gayā jiit kā nuqsān kiyā
āḳhirī baar milā pahlī mulāqāt meñ vo
ek hī shaḳhs ne do baar thā hairān kiyā
niiñd aa.e bhī ahāmir to nahīñ so saktā
aañkh par aise tire ḳhvāb ne ehsān kiyā
ye haqiqat hai meri zat ka nuqsan kiya
main ne jis shaKHs pe ta-umr baDa man kiya
shahr ki samt naya rasta banane ke liye
peD kaTe gae aur ganw ko viran kiya
yar dushman se mile sans ko mafluj kiya
hausla haara gaya jit ka nuqsan kiya
aaKHiri bar mila pahli mulaqat mein wo
ek hi shaKHs ne do bar tha hairan kiya
nind aae bhi ahamir to nahin so sakta
aankh par aise tere KHwab ne ehsan kiya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.