ye haqiqat majaz hai phir bhi
ye haqīqat majāz hai phir bhī
jaane kyoñ dil-gudāz hai phir bhī
vaqt ke haath maat khaa.ī hai
aql par apnī naaz hai phir bhī
raat din jhuuT luuT makr-o-fareb
panj-vaqta namāz hai phir bhī
chheḌ kartā hai mah-jabīnoñ se
aadmī pāk-bāz hai phir bhī
ham faqat do qadam samajhte haiñ
garche manzil darāz hai phir bhī
go nahīñ koī mā.il-e-tauba
dar-e-tauba to baaz hai phir bhī
kaam 'āzād' kyoñ nahīñ bante
vo baḌā kār-sāz hai phir bhī
ye haqiqat majaz hai phir bhi
jaane kyon dil-gudaz hai phir bhi
waqt ke hath mat khai hai
aql par apni naz hai phir bhi
raat din jhuT luT makr-o-fareb
panj-waqta namaz hai phir bhi
chheD karta hai mah-jabinon se
aadmi pak-baz hai phir bhi
hum faqat do qadam samajhte hain
garche manzil daraaz hai phir bhi
go nahin koi mail-e-tauba
dar-e-tauba to baz hai phir bhi
kaam 'azad' kyon nahin bante
wo baDa kar-saz hai phir bhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.