ye hasraton ki meri KHak se numu kya hai
ye hasratoñ kī mirī ḳhaak se numū kyā hai
tire baġhair ye duniyā-e-rang-o-bū kyā hai
tū yuuñ bhī saath mire jāñ-ba-lab judā.ī meñ
vagarna ye jiye jaane kī aarzū kyā hai
tumhārī yaad se baḌh kar kareñ ibādat kyā
bahe jab aañkh se ḳhud hī to phir vuzū kyā hai
sañbhal ke yuuñ vo na.e ham-safar ke saath chalā
kabhī na us ko batāyā ki justujū kyā hai
maiñ aaj apne masīhā se kaT ke aaya huuñ
mirā ilaaj batā mere chāra-jū kyā hai
lahū to vo ki bahe jab to naqsh-e-yār bane
na apnā rang jamā.e to phir lahū kyā hai
ye hasraton ki meri KHak se numu kya hai
tere baghair ye duniya-e-rang-o-bu kya hai
tu yun bhi sath mere jaan-ba-lab judai mein
wagarna ye jiye jaane ki aarzu kya hai
tumhaari yaad se baDh kar karen ibaadat kya
bahe jab aankh se KHud hi to phir wuzu kya hai
sanbhal ke yun wo nae ham-safar ke sath chala
kabhi na us ko bataya ki justuju kya hai
main aaj apne masiha se kaT ke aaya hun
mera ilaj bata mere chaara-ju kya hai
lahu to wo ki bahe jab to naqsh-e-yar bane
na apna rang jamae to phir lahu kya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.