ye hawaen aur ye baadal sab mere qabu mein hai
ye havā.eñ aur ye bādal sab mire qaabū meñ hai
maan le ye baat pāgal sab mire qaabū meñ hai
tū yahāñ se to chalā jā.egā ai ḳhāna-ba-dosh
ye havā ye aag jal thal sab mire qaabū meñ hai
tujh ko maiñ ne jo dikhā.ī vo thiiñ saarī bastiyāñ
ab dikhā.ūñgā maiñ jangal sab mire qaabū meñ hai
maiñ jo chāhūñ to use majbūr kar duuñ 'ishq meñ
us kī sāñseñ us kā har pal sab mire qaabū meñ hai
ye rahe haiñ peḌ pakshī ye rahī aadam kī zaat
aur zarā ab saath meñ chal sab mire qaabū meñ hai
ye jahāñ aur vo jahāñ donoñ hai merī dāsiyāñ
saath kis ke hogā kyā kal sab mire qaabū meñ hai
vo to kahtā hai ulaT saktā hai saarī kā.enāt
pūchho to kahtā hai pāgal sab mire qaabū meñ hai
maiñ huuñ sailāb-e-ravāñ 'arpit' kabhī miTTī kā Dher
ye samundar aur ye daldal sab mire qaabū meñ hai
ye hawaen aur ye baadal sab mere qabu mein hai
man le ye baat pagal sab mere qabu mein hai
tu yahan se to chala jaega ai KHana-ba-dosh
ye hawa ye aag jal thal sab mere qabu mein hai
tujh ko main ne jo dikhai wo thin sari bastiyan
ab dikhaunga main jangal sab mere qabu mein hai
main jo chahun to use majbur kar dun 'ishq mein
us ki sansen us ka har pal sab mere qabu mein hai
ye rahe hain peD pakshi ye rahi aadam ki zat
aur zara ab sath mein chal sab mere qabu mein hai
ye jahan aur wo jahan donon hai meri dasiyan
sath kis ke hoga kya kal sab mere qabu mein hai
wo to kahta hai ulaT sakta hai sari kaenat
puchho to kahta hai pagal sab mere qabu mein hai
main hun sailab-e-rawan 'arpit' kabhi miTTi ka Dher
ye samundar aur ye daldal sab mere qabu mein hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.