Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ye hijr ka rasta hai jis par main tanha tanha si chal rahi hun

Najma Shaheen Khosa

ye hijr ka rasta hai jis par main tanha tanha si chal rahi hun

Najma Shaheen Khosa

MORE BYNajma Shaheen Khosa

    ye hijr rāsta hai jis par maiñ tanhā tanhā chal rahī huuñ

    bas us yādoñ dhuup hai aur maiñ qatra qatra pighal rahī huuñ

    ye vasl-lamhoñ raushnī hai jo dil duniyā meñ aa basī hai

    mahaktī yādoñ chāñdnī hai maiñ jis kirnoñ se jal rahī huuñ

    rah-e-vafā meñ bhaTaktī rahtī jo tere sapnoñ meñ gum na rahtī

    tire ḳhayāloñ meñ rahī huuñ tire tasavvur meñ Dhal rahī huuñ

    shikasta-ḳhvāboñ kirchiyāñ haiñ jo merī āñkhoñ meñ chubh rahī haiñ

    maiñ ḳhār-zāroñ meñ chal rahī huuñ maiñ girte girte sambhal rahī huuñ

    zamāne bhar ye talḳhiyāñ haiñ jo mere lahje meñ aa basī haiñ

    maiñ apne sheroñ meñ dhīre dhīre ye zahar-e-māya ugal rahī huuñ

    karūñgī kyā bāl-o-par ko apne qafas meñ jiinā jo lāzmī hai

    kahāñ hai 'shāhīn' shādmānī dukhoñ duniyā meñ pal rahī huuñ

    ye hijr ka rasta hai jis par main tanha tanha si chal rahi hun

    bas us ki yaadon ki dhup hai aur main qatra qatra pighal rahi hun

    ye wasl-lamhon ki raushni hai jo dil ki duniya mein aa basi hai

    mahakti yaadon ki chandni hai main jis ki kirnon se jal rahi hun

    rah-e-wafa mein bhaTakti rahti jo tere sapnon mein gum na rahti

    tere KHayalon mein ji rahi hun tere tasawwur mein Dhal rahi hun

    shikasta-KHwabon ki kirchiyan hain jo meri aankhon mein chubh rahi hain

    main KHar-zaron mein chal rahi hun main girte girte sambhal rahi hun

    zamane bhar ki ye talKHiyan hain jo mere lahje mein aa basi hain

    main apne sheron mein dhire dhire ye zahar-e-maya ugal rahi hun

    karungi kya baal-o-par ko apne qafas mein jina jo lazmi hai

    kahan hai 'shahin' shadmani dukhon ki duniya mein pal rahi hun

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now