ye hijr meri zat pe ehsan hi to hai
ye hijr merī zaat pe ehsān hī to hai
ye raunaq-e-hayāt tirā dhyān hī to hai
khilne lageñge phir tirī yādoñ ke taaza phuul
ujḌā nahīñ hai dil mirā vīrān hī to hai
vo chāhe mujh ko dil meñ rakhe yā nikāl de
mehmān har lihāz se mehmān hī to hai
baiThī raho yaqīn ki kashtī meñ 'mādhvī'
ik roz tham hī jā.egā tūfān hī to hai
ye hijr meri zat pe ehsan hi to hai
ye raunaq-e-hayat tera dhyan hi to hai
khilne lagenge phir teri yaadon ke taza phul
ujDa nahin hai dil mera viran hi to hai
wo chahe mujh ko dil mein rakhe ya nikal de
mehman har lihaz se mehman hi to hai
baiThi raho yaqin ki kashti mein 'madhwi'
ek roz tham hi jaega tufan hi to hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.