Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ye hujum-e-rasm-o-rah duniya ki pabandi bhi hai

Ghulam Rabbani Taban

ye hujum-e-rasm-o-rah duniya ki pabandi bhi hai

Ghulam Rabbani Taban

MORE BYGhulam Rabbani Taban

    ye hujūm-e-rasm-o-rah duniyā pābandī bhī hai

    ġhāliban kuchh shaiḳh ko zom-e-ḳhirad-mandī bhī hai

    bijliyoñ se sāzisheñ bhī kar rahā hai bāġhbāñ

    ham chaman vāloñ ko hukm-e-āshiyāñ-bandī bhī hai

    hazrat-e-dil ko ḳhudā rakkhe vahī haiñ shorisheñ

    dard-e-mahrūmī bhī soz-e-ārzūmandī bhī hai

    mai-kade istelāhoñ meñ bahut kuchh kah ga.e

    varna is mahfil meñ dastūr-e-zabāñ-bandī bhī hai

    us ke jalvoñ fusūñ-sāzī musallam hai magar

    kuchh nigāh-e-shauq is meñ hunar-mandī bhī hai

    us ne 'tābāñ' kar diyā āzād ye kah kar ki

    terī āzādī meñ ik shān-e-nazar-bandī bhī hai

    ye hujum-e-rasm-o-rah duniya ki pabandi bhi hai

    ghaaliban kuchh shaiKH ko zom-e-KHirad-mandi bhi hai

    bijliyon se sazishen bhi kar raha hai baghban

    hum chaman walon ko hukm-e-ashiyan-bandi bhi hai

    hazrat-e-dil ko KHuda rakkhe wahi hain shorishen

    dard-e-mahrumi bhi soz-e-arzumandi bhi hai

    mai-kade ki istelahon mein bahut kuchh kah gae

    warna is mahfil mein dastur-e-zaban-bandi bhi hai

    us ke jalwon ki fusun-sazi musallam hai magar

    kuchh nigah-e-shauq ki is mein hunar-mandi bhi hai

    us ne 'taban' kar diya aazad ye kah kar ki ja

    teri aazadi mein ek shan-e-nazar-bandi bhi hai

    RECITATIONS

    Nomaan Shauque

    Nomaan Shauque,

    Nomaan Shauque

    ye hujum-e-rasm-o-rah duniya ki pabandi bhi hai Nomaan Shauque

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now