ye hunar to teri taKHliq ki tashhir se hai
ye hunar to tirī taḳhlīq kī tash.hīr se hai
koī dīvār se hai aur koī tasvīr se hai
us ke inkār se zindān kī bū aa.egī
us ke lahje meñ tavāzun kisī zanjīr se hai
aap kā aur mirā kyā koī ta’āruf bhī nahīñ
jo yahāñ ho rahā hai kyā sabhī taqdīr se hai
jab tū chamkā to ziyā bāñTī ga.ī duniyā meñ
raushnī ko bhī basārat tirī tanvīr se hai
baap ne bachchoñ ko is tarh nishāñ batlā.e
ye virāsat se milī aur ye shamshīr se hai
rabt-e-tartīb kī ik shakl hai jaise ki 'zamān'
niiñd ko ḳhvāb se hai ḳhvāb ko ta.abīr se hai
ye hunar to teri taKHliq ki tashhir se hai
koi diwar se hai aur koi taswir se hai
us ke inkar se zindan ki bu aaegi
us ke lahje mein tawazun kisi zanjir se hai
aap ka aur mera kya koi ta’aruf bhi nahin
jo yahan ho raha hai kya sabhi taqdir se hai
jab tu chamka to ziya banTi gai duniya mein
raushni ko bhi basarat teri tanwir se hai
bap ne bachchon ko is tarh nishan batlae
ye wirasat se mili aur ye shamshir se hai
rabt-e-tartib ki ek shakl hai jaise ki 'zaman'
nind ko KHwab se hai KHwab ko tabir se hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.