ye husn-e-tabassum ye kiran dekh rahi hai
ye husn-e-tabassum ye kiran dekh rahī hai
duniyā tirā andāz-e-suḳhan dekh rahī hai
shāyad ki hai ḳhurshīd kī niyyat meñ ḳharābī
kyoñ dhuup gulāboñ ke badan dekh rahī hai
armān-e-safar dhuup meñ jiine kā hai aadī
saa.e kī taraf dil kī thakan dekh rahī hai
hai manzar-e-hairat ki añdheroñ ko mirī aañkh
pahne hue kirnoñ kā kafan dekh rahī hai
jis roz se āñkheñ mirī ashkoñ se bharī haiñ
hairat se unheñ dil kī jalan dekh rahī hai
aao ki lahū daan kareñ is ke liye ham
hasrat se hameñ arz-e-vatan dekh rahī hai
'sajjād' hai be-kār tirā husn-e-takallum
duniyā tire māthe pe shikan dekh rahī hai
ye husn-e-tabassum ye kiran dekh rahi hai
duniya tera andaz-e-suKHan dekh rahi hai
shayad ki hai KHurshid ki niyyat mein KHarabi
kyon dhup gulabon ke badan dekh rahi hai
arman-e-safar dhup mein jine ka hai aadi
sae ki taraf dil ki thakan dekh rahi hai
hai manzar-e-hairat ki andheron ko meri aankh
pahne hue kirnon ka kafan dekh rahi hai
jis roz se aankhen meri ashkon se bhari hain
hairat se unhen dil ki jalan dekh rahi hai
aao ki lahu dan karen is ke liye hum
hasrat se hamein arz-e-watan dekh rahi hai
'sajjad' hai be-kar tera husn-e-takallum
duniya tere mathe pe shikan dekh rahi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.