ye husn wale hunar bhi kamal rakhte hain
ye husn wale hunar bhi kamal rakhte hain
Sahil Farooqui Amrohvi
MORE BYSahil Farooqui Amrohvi
ye husn vaale hunar bhī kamāl rakhte haiñ
sabhī ko 'ishq meñ āshufta-hāl rakhte haiñ
vo jab bhī bazm meñ aate haiñ log dekhte haiñ
ki apnī āñkhoñ meñ husn-e-ġhazāl rakhte haiñ
hañseñ to zaḳhm bhī hañste haiñ kyā kiyā jaa.e
ḳhushī ke saath bhī dil meñ malāl rakhte haiñ
yahī adā to mujhe lā-javāb kartī hai
mire javāb meñ apnā savāl rakhte haiñ
bayān karte haiñ vo apnā haal urdu meñ
so apne lahje meñ husn-o-jamāl rakhte haiñ
koī to raaz hai yūsuf ke husn kā 'sāhil'
ki ahl-e-misr kaleja nikāl rakhte haiñ
ye husn wale hunar bhi kamal rakhte hain
sabhi ko 'ishq mein aashufta-haal rakhte hain
wo jab bhi bazm mein aate hain log dekhte hain
ki apni aankhon mein husn-e-ghazal rakhte hain
hansen to zaKHm bhi hanste hain kya kiya jae
KHushi ke sath bhi dil mein malal rakhte hain
yahi ada to mujhe la-jawab karti hai
mere jawab mein apna sawal rakhte hain
bayan karte hain wo apna haal urdu mein
so apne lahje mein husn-o-jamal rakhte hain
koi to raaz hai yusuf ke husn ka 'sahil'
ki ahl-e-misr kaleja nikal rakhte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.