ye ibtida hai koi iKHtitam thoDi hai
ye ibtida hai koi iKHtitam thoDi hai
Zubair Ahmad Tanha Malik Rampuri
MORE BYZubair Ahmad Tanha Malik Rampuri
ye ibtidā hai koī iḳhtitām thoḌī hai
hai shām-e-vasl bichhaḌne kī shaam thoḌī hai
abhī to aa.e ho jaane kī baat karte ho
mohabbatoñ se baḌā koī kaam thoḌī hai
sabhī ko jaanā hai duniyā ko chhoḌ kar ik din
kisī bashar ko bhī hāsil davām thoḌī hai
jahāñ meñ nafrateñ bāñTo kisī kā qatl karo
tumhāre vāste kuchh bhī harām thoḌī hai
tirī nazar kā hī saaqī huuñ bas maiñ dīvāna
mirī nazar meñ surāhī-o-jām thoḌī hai
vafā kisī ko mayassar hī kab huī hai yahāñ
jo hukmrāñ hai vo rāvan hai raam thoḌī hai
bahut se logoñ ne ham par sitam kiye haiñ 'malik'
hamāre lab pe kisī kā bhī naam thoḌī hai
ye ibtida hai koi iKHtitam thoDi hai
hai sham-e-wasl bichhaDne ki sham thoDi hai
abhi to aae ho jaane ki baat karte ho
mohabbaton se baDa koi kaam thoDi hai
sabhi ko jaana hai duniya ko chhoD kar ek din
kisi bashar ko bhi hasil dawam thoDi hai
jahan mein nafraten banTo kisi ka qatl karo
tumhaare waste kuchh bhi haram thoDi hai
teri nazar ka hi saqi hun bas main diwana
meri nazar mein surahi-o-jam thoDi hai
wafa kisi ko mayassar hi kab hui hai yahan
jo hukmran hai wo rawan hai ram thoDi hai
bahut se logon ne hum par sitam kiye hain 'malik'
hamare lab pe kisi ka bhi nam thoDi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.