ye iKHtiyar mein hai na wo iKHtiyar mein
ye iKHtiyar mein hai na wo iKHtiyar mein
Raja Abdul Ghagoor Jauhar Nizami
MORE BYRaja Abdul Ghagoor Jauhar Nizami
ye iḳhtiyār meñ hai na vo iḳhtiyār meñ
kyā bebasī hai ālam-e-nā-pā.edār meñ
kaifiyyateñ bahār ke naġhmoñ meñ ab kahāñ
ab vo bahār hī nahīñ fasl-e-bahār meñ
kal tak jo sham.a-e-mahfil-e-kaif-o-surūr thā
uljhā vo aaj gardish-e-lail-o-nahār meñ
mujh ko sabāt-e-jaib-o-garebāñ nahīñ pasand
maiñ ḳhush huuñ apne pairahan-e-tār-tār meñ
kyoñ apnī be-kasī pe maiñ iz.hār-e-ġham karūñ
kyā daḳhl mujh ko marzī-e-parvardigār meñ
nazrāna gar ye terā nahīñ hai to ai 'nasīm'
ḳhushbū kahāñ se aa.ī hai gesū-e-yār meñ
duniyā tasavvurāt kī barbād ho ga.ī
raunaq thī tere dam se is ujḌe dayār meñ
'jauhar' na pūchh sadma-e-tūl-e-shab-e-firāq
talḳhī thī maut se bhī sivā intizār meñ
ye iKHtiyar mein hai na wo iKHtiyar mein
kya bebasi hai aalam-e-na-paedar mein
kaifiyyaten bahaar ke naghmon mein ab kahan
ab wo bahaar hi nahin fasl-e-bahaar mein
kal tak jo shama-e-mahfil-e-kaif-o-surur tha
uljha wo aaj gardish-e-lail-o-nahaar mein
mujh ko sabaat-e-jaib-o-gareban nahin pasand
main KHush hun apne pairahan-e-tar-tar mein
kyon apni be-kasi pe main izhaar-e-gham karun
kya daKHl mujh ko marzi-e-parwardigar mein
nazrana gar ye tera nahin hai to ai 'nasim'
KHushbu kahan se aai hai gesu-e-yar mein
duniya tasawwuraat ki barbaad ho gai
raunaq thi tere dam se is ujDe dayar mein
'jauhar' na puchh sadma-e-tul-e-shab-e-firaq
talKHi thi maut se bhi siwa intizar mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.