ye imtihan-e-wafa hai ai dil gila na kar unki be-ruKHi ka
ye imtihan-e-wafa hai ai dil gila na kar unki be-ruKHi ka
Rashidullah Khan Jauhar
MORE BYRashidullah Khan Jauhar
ye imtihān-e-vafā hai ai dil gila na kar un kī be-ruḳhī kā
taḌap se matlab fuġhāñ se hāsil vaqār kho degā āshiqī kā
hue jo mas.hūr-e-husn-e-rangīñ to zauq-e-sherī ne chuTkiyāñ liiñ
fareb-e-ulfat meñ aa ga.e ham to lag gayā rog shā.erī kā
na be-ḳhudī hai na hoshiyārī ajiib kuchh kaifiyat hai taarī
ḳhabar hai un kī na hosh apnā ye kaun sā ruḳh hai zindagī kā
bulā rahī haiñ hameñ bahāreñ vo gungunātī huī phuvāreñ
chalo kareñ mil ke sair-e-gulshan kabhī to maano kahā kisī kā
nazar rahī sab kī rang-o-bū par guzar gayā ham pe hashr 'jauhar'
kisī ne dekhā na shīsha-e-dil chaman meñ hañstī hui kalī kā
ye imtihan-e-wafa hai ai dil gila na kar un ki be-ruKHi ka
taDap se matlab fughan se hasil waqar kho dega aashiqi ka
hue jo mashur-e-husn-e-rangin to zauq-e-sheri ne chuTkiyan lin
fareb-e-ulfat mein aa gae hum to lag gaya rog shaeri ka
na be-KHudi hai na hoshiyari ajib kuchh kaifiyat hai tari
KHabar hai un ki na hosh apna ye kaun sa ruKH hai zindagi ka
bula rahi hain hamein bahaaren wo gungunati hui phuwaren
chalo karen mil ke sair-e-gulshan kabhi to mano kaha kisi ka
nazar rahi sab ki rang-o-bu par guzar gaya hum pe hashr 'jauhar'
kisi ne dekha na shisha-e-dil chaman mein hansti hui kali ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.