ye imtihan KHub hai husn-e-shabab ka
ye imtihān ḳhuub hai husn-e-shabāb kā
lenā thā dil bhī mujh se hī ḳhāna-ḳharāb kā
āñkhoñ se dekhnā hai tarīqa hijāb kā
rahtā hai dil meñ jalva yahāñ āftāb kā
do ḳhalq ko na rabt-e-adū se fareb-e-mehr
uThne do rozgār se Dar inqalāb kā
mai bhī thī aag ātish-e-hasrat huī nasīb
ai kaash daaġh siina meñ hotā sharāb kā
uThnā thā us ke ruḳh se qayāmat naqāb kā
aalam har ek zarra meñ hai āftāb kā
qat.a-e-vafā se raf.a-e-shikāyat muhāl hai
haañ silsila hai nāla-e-dil pech-o-tāb kā
ye hashr kyā huā abhī maiñ ne kiyā nahīñ
kuchh bhī bayān apne ġham-e-be-hisāb kā
martā huuñ rashk se ki muqaddar huā thā kyoñ
mahshar meñ mujh se yaar se uThnā hijāb kā
likkhā hai shauq-e-vasl to maiñ ne unheñ magar
dhaḌkā hai nāma-bar kā taraddud javāb kā
saaqī ke saath jāgeñ to so.eñ butoñ ke saath
lazzat vo jāgne kī hai ye lutf ḳhvāb kā
rone se apnī jā chukī nākāmī-e-azal
namnāk ho kar aa.ina tishna hai aab kā
maġhrūr-e-husn haiñ unheñ kyā yaad raah meñ
maarā huā hai kaun nigāh-e-itāb kā
dil ko judā.ī-e-sanam us par shakeb haif
ḳhūgar na ho gayā ho ye kāfir azaab kā
kahne se qabl chehre kā rang uḌ gayā yahāñ
sunñe se pahle samjhe vo haal iztirāb kā
nairangī-e-tilism-e-tamanna ko kyā kahūñ
aalam dikhā rahā hai zuleḳhā ke ḳhvāb kā
mādūm ho 'zakī' hai agar shauq-e-vasl asl
bād-e-fanā hai bahr meñ milnā habāb kā
ye imtihan KHub hai husn-e-shabab ka
lena tha dil bhi mujh se hi KHana-KHarab ka
aankhon se dekhna hai tariqa hijab ka
rahta hai dil mein jalwa yahan aaftab ka
do KHalq ko na rabt-e-adu se fareb-e-mehr
uThne do rozgar se Dar inqalab ka
mai bhi thi aag aatish-e-hasrat hui nasib
ai kash dagh sina mein hota sharab ka
uThna tha us ke ruKH se qayamat naqab ka
aalam har ek zarra mein hai aaftab ka
qata-e-wafa se rafa-e-shikayat muhaal hai
han silsila hai nala-e-dil pech-o-tab ka
ye hashr kya hua abhi main ne kiya nahin
kuchh bhi bayan apne gham-e-be-hisab ka
marta hun rashk se ki muqaddar hua tha kyon
mahshar mein mujh se yar se uThna hijab ka
likkha hai shauq-e-wasl to main ne unhen magar
dhaDka hai nama-bar ka taraddud jawab ka
saqi ke sath jagen to soen buton ke sath
lazzat wo jagne ki hai ye lutf KHwab ka
rone se apni ja chuki nakaami-e-azal
namnak ho kar aaina tishna hai aab ka
maghrur-e-husn hain unhen kya yaad rah mein
mara hua hai kaun nigah-e-itab ka
dil ko judai-e-sanam us par shakeb haif
KHugar na ho gaya ho ye kafir azab ka
kahne se qabl chehre ka rang uD gaya yahan
sunne se pahle samjhe wo haal iztirab ka
nairangi-e-tilism-e-tamanna ko kya kahun
aalam dikha raha hai zuleKHa ke KHwab ka
madum ho 'zaki' hai agar shauq-e-wasl asl
baad-e-fana hai bahr mein milna habab ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.