ye in dinon jo humse itni rukhaiyan hain
ye in dinoñ jo ham se itnī rukhā.iyāñ haiñ
shāyad kisī ne bāteñ kuchh kuchh sujhā.iyāñ haiñ
ai andalīb sach kah kyā fasl-e-gul phir aa.ī
faujeñ junūñ kī ham par kaisī chaḌhā.iyāñ haiñ
kis be-adab ne tum se gul-bāzī aaj kī hai
muñh par tumhāre choTeñ kyā saḳht ā.iyāñ haiñ
dīvār-o-dar kī chhātī sūrāḳh ho ga.ī hai
kyā rauzanoñ se us ne āñkheñ laḌā.iyāñ haiñ
paivasta abrū us kī maiñ dekh kar ye samjhā
do shāḳheñ haiñ ki jhuk kar milne ko ā.iyāñ haiñ
ye in dinon jo hum se itni rukhaiyan hain
shayad kisi ne baaten kuchh kuchh sujhaiyan hain
ai andalib sach kah kya fasl-e-gul phir aai
faujen junun ki hum par kaisi chaDhaiyan hain
kis be-adab ne tum se gul-bazi aaj ki hai
munh par tumhaare choTen kya saKHt aaiyan hain
diwar-o-dar ki chhati suraKH ho gai hai
kya rauzanon se us ne aankhen laDaiyan hain
paiwasta abru us ki main dekh kar ye samjha
do shaKHen hain ki jhuk kar milne ko aaiyan hain
- Book : Noquush (Pg. B-395 E405)
- Publication : Nuqoosh Press Lahore (May June 1954)
- Edition : May June 1954
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.