ye ishq ajab lamha-e-tauqir hai jaanan
ye ishq ajab lamha-e-tauqīr hai jānāñ
ḳhud merā ḳhudā us kī hī tafsīr hai jānāñ
jo naam hathelī kī lakīroñ meñ nahīñ thā
kyuuñ aaj talak dil pe vo tahrīr hai jānāñ
us ḳhvāb kī ta.abīr to mumkin hī nahīñ thī
āñkhoñ meñ magar us kī hī tāsīr hai jānāñ
maanā ki tire hāthoñ meñ haiñ phuul abhī tak
lekin tire pairoñ meñ jo zanjīr hai jānāñ
kyā jāniye kis roz bikhar jaa.e kahīñ bhī
is aas kī dil meñ jo ik tanvīr hai jānāñ
ye rog kahīñ mujh ko hī mismār na kar de
aa lauT kar aa tū hī to iksīr hai jānāñ
tū hijr meñ Duubī huī nayyā kā kināra
jīvan kī tire paas hī tadbīr hai jānāñ
ye zaḳhm judā.ī ke kabhī silne nahīñ haiñ
tū jaan le apnī yahī taqdīr hai jānāñ
us aag ke sho.aloñ meñ vo phūloñ kā tabassum
ik sajda-e-be-misl kī tasvīr hai jānāñ
ab din kī talab hī nahīñ 'shāhīn' mujhe to
ik shaam hī ab to mirī jāgīr hai jānāñ
ye ishq ajab lamha-e-tauqir hai jaanan
KHud mera KHuda us ki hi tafsir hai jaanan
jo nam hatheli ki lakiron mein nahin tha
kyun aaj talak dil pe wo tahrir hai jaanan
us KHwab ki tabir to mumkin hi nahin thi
aankhon mein magar us ki hi tasir hai jaanan
mana ki tere hathon mein hain phul abhi tak
lekin tere pairon mein jo zanjir hai jaanan
kya jaaniye kis roz bikhar jae kahin bhi
is aas ki dil mein jo ek tanwir hai jaanan
ye rog kahin mujh ko hi mismar na kar de
aa lauT kar aa tu hi to iksir hai jaanan
tu hijr mein Dubi hui nayya ka kinara
jiwan ki tere pas hi tadbir hai jaanan
ye zaKHm judai ke kabhi silne nahin hain
tu jaan le apni yahi taqdir hai jaanan
us aag ke shoalon mein wo phulon ka tabassum
ek sajda-e-be-misl ki taswir hai jaanan
ab din ki talab hi nahin 'shahin' mujhe to
ek sham hi ab to meri jagir hai jaanan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.