ye ishq wale dilon ko hi ghar banate hain
ye ishq wale dilon ko hi ghar banate hain
Nishat Parveen Barsavi
MORE BYNishat Parveen Barsavi
ye ishq vaale diloñ ko hī ghar banāte haiñ
ye vo parind haiñ jin ko qafas hī bhāte haiñ
ajiib un kī tabī.at ajab hai ḳhuddārī
ye dil jhukāte haiñ sar ko nahīñ jhukāte haiñ
ḳhayālī log ḳhayālī haiñ bastiyāñ in kī
akele baiTh ke ye mahfileñ sajāte haiñ
havā se phuul se ḳhushbū se baat karte haiñ
ye un kī sunte haiñ apnī unheñ sunāte haiñ
na jaane kis kī kahānī unheñ rulātī hai
na jaane kis ke fasāne unheñ hañsāte haiñ
ḳhalā meñ pherte rahte haiñ uñgliyāñ apnī
ye zindagī ke na.e zāviye banāte haiñ
ye ishq wale dilon ko hi ghar banate hain
ye wo parind hain jin ko qafas hi bhate hain
ajib un ki tabiat ajab hai KHuddari
ye dil jhukate hain sar ko nahin jhukate hain
KHayali log KHayali hain bastiyan in ki
akele baiTh ke ye mahfilen sajate hain
hawa se phul se KHushbu se baat karte hain
ye un ki sunte hain apni unhen sunate hain
na jaane kis ki kahani unhen rulati hai
na jaane kis ke fasane unhen hansate hain
KHala mein pherte rahte hain ungliyan apni
ye zindagi ke nae zawiye banate hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.