ye ishq-wishq kawish-e-be-sud hai ai dost
ye ishq-vishq kāvish-e-be-sūd hai ai dost
aisī hai ye ḳhushī ki jo mahdūd hai ai dost
karne lagā hai kis kī parastish tū āj-kal
kyā ab tirā nayā koī ma.abūd hai ai dost
jo kal talak thā haal vo maazī hai ab mirā
barsoñ se thā jo ast vo ab buud hai ai dost
qīmat chukā rahā huuñ maiñ qistoñ meñ ishq kī
ye āshiqī hai yā ki koī suud hai ai dost
vo jo hazāroñ saal rahā āshiq-e-ḳhudā
vo bhī hazāroñ saal se mardūd hai ai dost
ik dūsre ke ghar meñ lagāne lage haiñ aag
har koī is jahān meñ namrūd hai ai dost
apnoñ meñ aur ġhair meñ kyā farq rah gayā
sab kī zabān zahr se ālūd hai ai dost
ye ishq-wishq kawish-e-be-sud hai ai dost
aisi hai ye KHushi ki jo mahdud hai ai dost
karne laga hai kis ki parastish tu aaj-kal
kya ab tera naya koi mabud hai ai dost
jo kal talak tha haal wo mazi hai ab mera
barson se tha jo ast wo ab bud hai ai dost
qimat chuka raha hun main qiston mein ishq ki
ye aashiqi hai ya ki koi sud hai ai dost
wo jo hazaron sal raha aashiq-e-KHuda
wo bhi hazaron sal se mardud hai ai dost
ek dusre ke ghar mein lagane lage hain aag
har koi is jahan mein namrud hai ai dost
apnon mein aur ghair mein kya farq rah gaya
sab ki zaban zahr se aalud hai ai dost
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.