ye ittifaq tha hum aa gae ujale mein
ye ittifāq thā ham aa ga.e ujāle meñ
chhupe the varna hazāroñ hī ġhaar raste meñ
zarā pukārtī rahnā mujhe bhī gardish-e-nau
maiñ kho na jā.ūñ kahīñ zindagī ke mele meñ
vahī añdhere bane haiñ rafīq-e-jāda-e-zīst
gale mile the kabhī jin se ham jo dhoke meñ
ravish ravish pe jo raqsāñ ho raag sho.aloñ kā
kashish kahāñ se phir aa.e vafā ke naġhme meñ
jabīn-e-shab se siyāhī sameTne vaalo
hazāroñ raaz nihāñ haiñ sahar ke siine meñ
ye dil kī aag hai bhaḌkī hai aur bhaḌkegī
talāsh-e-fikr-e-sukūñ aur vo bhī sho'le meñ
mujhe sikhāo na ādāb-e-zabt-e-ġham yaaro
ki merī umr kaTī hai ġhamoñ ke saa.e meñ
na koī saaya na aahaT na naqsh-e-pā 'at.har'
kise pukārte rahte ho tum añdhere meñ
ye ittifaq tha hum aa gae ujale mein
chhupe the warna hazaron hi ghaar raste mein
zara pukarti rahna mujhe bhi gardish-e-nau
main kho na jaun kahin zindagi ke mele mein
wahi andhere bane hain rafiq-e-jada-e-zist
gale mile the kabhi jin se hum jo dhoke mein
rawish rawish pe jo raqsan ho rag shoalon ka
kashish kahan se phir aae wafa ke naghme mein
jabin-e-shab se siyahi sameTne walo
hazaron raaz nihan hain sahar ke sine mein
ye dil ki aag hai bhaDki hai aur bhaDkegi
talash-e-fikr-e-sukun aur wo bhi sho'le mein
mujhe sikhao na aadab-e-zabt-e-gham yaro
ki meri umr kaTi hai ghamon ke sae mein
na koi saya na aahaT na naqsh-e-pa 'athar'
kise pukarte rahte ho tum andhere mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.