ye jab se raat buzdil ho gai hai
ye jab se raat buzdil ho ga.ī hai
diye kī jañg mushkil ho ga.ī hai
charāġhoñ ko zarā sā hausla do
havā kuchh aur qātil ho ga.ī hai
mujhe yuuñ chhoḌ kar jaatī kahāñ par
udāsī ḳhuuñ meñ shāmil ho ga.ī hai
kahāñ mumkin hai us ko DhūñDhnā ab
nadī sahrā meñ dāḳhil ho ga.ī hai
use lazzat nahīñ ma.alūm ġham kī
use har chiiz hāsil ho ga.ī hai
tamannā naañv ban kar bah rahī hai
mohabbat ek sāhil ho ga.ī hai
dikhā.e haiñ tamāshe zindagī ne
magar jiine ke qābil ho ga.ī hai
ye jab se raat buzdil ho gai hai
diye ki jang mushkil ho gai hai
charaghon ko zara sa hausla do
hawa kuchh aur qatil ho gai hai
mujhe yun chhoD kar jati kahan par
udasi KHun mein shamil ho gai hai
kahan mumkin hai us ko DhunDhna ab
nadi sahra mein daKHil ho gai hai
use lazzat nahin malum gham ki
use har chiz hasil ho gai hai
tamanna nanw ban kar bah rahi hai
mohabbat ek sahil ho gai hai
dikhae hain tamashe zindagi ne
magar jine ke qabil ho gai hai
- Book : Word File Mail By Salim Saleem
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.