ye jahan-e-rang-o-bu apni jagah
ye jahān-e-rang-o-bū apnī jagah
aur tujh se guftugū apnī jagah
terī nisbat se lagī bād-e-sabā
shahr tere chaltī lū apnī jagah
kis tarah de duuñ fazīlat ek ko
ishq merā aur tū apnī jagah
hai mirī ḳhvāhish ki tū hañstā rahe
zaḳhm mere be-rafū apnī jagah
haiñ bahut kāfir tire nāz-o-adā
aañkh merī bā-vuzū apnī jagah
har jagah tū ḳhud nahīñ ai rashk-e-māh
husn terā chār-sū apnī jagah
muskurāhaT se tirī mahkā chaman
sab khile phūloñ kī bū apnī jagah
ishq ko baḳhshī hai kitnī aabrū
qais ḳhud be-ābrū apnī jagah
terī chāhat kā bhī hai apnā maqām
aur ḳhud kī justujū apnī jagah
ḳhaak meñ maiñ mil gayā tere liye
vo merā jazb-e-numū apnī jagah
har taraf saa.e hī saa.e the 'ḳhizar'
par tire saa.e kī ḳhū apnī jagah
ye jahan-e-rang-o-bu apni jagah
aur tujh se guftugu apni jagah
teri nisbat se lagi baad-e-saba
shahr tere chalti lu apni jagah
kis tarah de dun fazilat ek ko
ishq mera aur tu apni jagah
hai meri KHwahish ki tu hansta rahe
zaKHm mere be-rafu apni jagah
hain bahut kafir tere naz-o-ada
aankh meri ba-wuzu apni jagah
har jagah tu KHud nahin ai rashk-e-mah
husn tera chaar-su apni jagah
muskurahaT se teri mahka chaman
sab khile phulon ki bu apni jagah
ishq ko baKHshi hai kitni aabru
qais KHud be-abru apni jagah
teri chahat ka bhi hai apna maqam
aur KHud ki justuju apni jagah
KHak mein main mil gaya tere liye
wo mera jazb-e-numu apni jagah
har taraf sae hi sae the 'KHizar'
par tere sae ki KHu apni jagah
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.