ye jaisa kahte hain waisa nahin hai
ye jaisā kahte haiñ vaisā nahīñ hai
mohabbat se tumheñ ḳhatra nahīñ hai
hai nākāmī mirī yā kāmyābī
use mujh se gila hotā nahīñ hai
maiñ us kā muntazir huuñ muddatoñ se
jise merī taraf aanā nahīñ hai
haiñ zindābād ummīdeñ tumhārī
hamārā dil abhī baiThā nahīñ hai
mohabbat se nikal aa.e the aur ab
kahīñ par bhī sukūñ miltā nahīñ hai
bhale jaisā ravā rakkho ravayya
mujhe bas chhoḌ kar jaanā nahīñ hai
usī ke paas baiThe rahte haiñ ham
hamāre paas jo hotā nahīñ hai
'figār' us ko du'ā.eñ do ki us ne
kahīñ kā bhī tumheñ chhoḌā nahīñ hai
ye jaisa kahte hain waisa nahin hai
mohabbat se tumhein KHatra nahin hai
hai nakaami meri ya kaamyabi
use mujh se gila hota nahin hai
main us ka muntazir hun muddaton se
jise meri taraf aana nahin hai
hain zindabaad ummiden tumhaari
hamara dil abhi baiTha nahin hai
mohabbat se nikal aae the aur ab
kahin par bhi sukun milta nahin hai
bhale jaisa rawa rakkho rawayya
mujhe bas chhoD kar jaana nahin hai
usi ke pas baiThe rahte hain hum
hamare pas jo hota nahin hai
'figar' us ko du'aen do ki us ne
kahin ka bhi tumhein chhoDa nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.