ye jina is qadar aazar hoga kya pata tha
ye jiinā is qadar āzār hogā kyā pata thā
ki marnā bhī mirā dushvār hogā kyā pata thā
jise chhū kar haqīqat kī taheñ khulne lagīñ thiiñ
kahānī kā koī kirdār hogā kyā pata thā
mirā har ek rasta chāñd tak jaatā hai lekin
tirā ghar chāñd ke bhī paar hogā kyā pata thā
shikasta tan garebāñ chaak aur paañv meñ chhāle
phir is par rāstā pur-ḳhār hogā kyā pata thā
mirī qātil nigāh-e-yār hogī kyā ḳhabar thī
mirā maqtal dayār-e-yār hogā kyā pata thā
kahānī meñ nayā mauzūa na.e kirdār the par
vahī anjām phir is baar hogā kyā pata thā
ye jina is qadar aazar hoga kya pata tha
ki marna bhi mera dushwar hoga kya pata tha
jise chhu kar haqiqat ki tahen khulne lagin thin
kahani ka koi kirdar hoga kya pata tha
mera har ek rasta chand tak jata hai lekin
tera ghar chand ke bhi par hoga kya pata tha
shikasta tan gareban chaak aur panw mein chhaale
phir is par rasta pur-KHar hoga kya pata tha
meri qatil nigah-e-yar hogi kya KHabar thi
mera maqtal dayar-e-yar hoga kya pata tha
kahani mein naya mauzua nae kirdar the par
wahi anjam phir is bar hoga kya pata tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.