Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ye jitne shikwe gile hain inhen miTa kar ja

Pragya Sharma

ye jitne shikwe gile hain inhen miTa kar ja

Pragya Sharma

MORE BYPragya Sharma

    ye jitne shikve gile haiñ inheñ miTā kar

    jaanā chāhtā hai to gale lagā kar

    maiñ bhuul jā.ūñ tujhe maiñ intizār karūñ

    apne jaane se pahle mujhe batā kar

    ye mere paas rahe to maiñ na pā.ūñgī

    mere sāmne apne ye ḳhat jalā kar

    maiñ tere baad kabhī DhūñDh na pā.ūñ tujhe

    yuuñ apne aap ko mujh meñ kahīñ chhupā kar

    hamāre biich ye fāsla mukammal ho

    abhī talak sabhī qurbateñ miTā kar

    bache-khuche ye charāġhoñ ko bhī bujhā de ab

    ki merī shab ke añdheroñ ko baḌhā kar

    maiñ tujh ko ḳhvāb meñ bhī ab kabhī nahīñ dekhūñ

    rahā hai to nīñdeñ mirī uḌā kar

    ye jitne shikwe gile hain inhen miTa kar ja

    tu jaana chahta hai to gale laga kar ja

    main bhul jaun tujhe ya main intizar karun

    tu apne jaane se pahle mujhe bata kar ja

    ye mere pas rahe to main ji na paungi

    tu mere samne apne ye KHat jala kar ja

    main tere baad kabhi DhunDh hi na paun tujhe

    yun apne aap ko mujh mein kahin chhupa kar ja

    hamare bich ka ye fasla mukammal ho

    abhi talak ki sabhi qurbaten miTa kar ja

    bache-khuche ye charaghon ko bhi bujha de ab

    ki meri shab ke andheron ko tu baDha kar ja

    main tujh ko KHwab mein bhi ab kabhi nahin dekhun

    tu ja raha hai to ninden meri uDa kar ja

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now