ye jo ahbab hain mere sabhi katrane lagte hain
ye jo ahbāb haiñ mere sabhī katrāne lagte haiñ
na jaane is ġharībī se ye kyoñ ghabrāne lagte haiñ
jo sach kahtā huuñ maiñ to kyoñ burā lagtā hai logoñ ko
har ik jānib se jo patthar mire ghar aane lagte haiñ
jo qātil haiñ vo phirte haiñ sharīfoñ kī tarah lekin
sitam kyoñ be-gunāhoñ par sitam-gar Dhāne lagte haiñ
amīr-e-shahr jab dekho paḌā hai aish-o-ishrat meñ
ġharībī ke magar din kab use yaad aane lagte haiñ
guzārī saath meñ jin ke ḳhushī kī har ghaḌī maiñ ne
na jaane kyoñ mire mahbūb ab sharmāne lagte haiñ
burā.ī is qadar duniyā meñ baḌhtī jaa.e hai 'yāsīn'
jidhar dekho udhar maiḳhāne hī maiḳhāne lagte haiñ
ye jo ahbab hain mere sabhi katrane lagte hain
na jaane is gharibi se ye kyon ghabrane lagte hain
jo sach kahta hun main to kyon bura lagta hai logon ko
har ek jaanib se jo patthar mere ghar aane lagte hain
jo qatil hain wo phirte hain sharifon ki tarah lekin
sitam kyon be-gunahon par sitam-gar Dhane lagte hain
amir-e-shahr jab dekho paDa hai aish-o-ishrat mein
gharibi ke magar din kab use yaad aane lagte hain
guzari sath mein jin ke KHushi ki har ghaDi main ne
na jaane kyon mere mahbub ab sharmane lagte hain
burai is qadar duniya mein baDhti jae hai 'yasin'
jidhar dekho udhar maiKHane hi maiKHane lagte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.