ye jo bazar mein phaile hue hain
ye jo bāzār meñ phaile hue haiñ
sab apne kamroñ meñ simTe hue haiñ
dikhā sakte haiñ dānāoñ ko rasta
miyāñ ham 'ishq meñ andhe hue haiñ
tirā bāzār kaise chhoḌ jaa.eñ
yahīñ mahñge yahīñ saste hue haiñ
tirī copy kitāboñ kī badaulat
mire parche bahut achchhe hue haiñ
tumhārī āñkhoñ ne kuchh kah diyā hai
tamannāoñ ke muñh phūle hue haiñ
kahīñ Thokar na lag jaa.e zamīñ par
sitāre zehn meñ rakkhe hue haiñ
banāte rahte haiñ jannat ke naqshe
tirī galiyoñ meñ jo bhaTke hue haiñ
vo pyāle hoñ ki maTke hoñ ki kuuze
sabhī ik chaak se utre hue haiñ
ye jo bazar mein phaile hue hain
sab apne kamron mein simTe hue hain
dikha sakte hain danaon ko rasta
miyan hum 'ishq mein andhe hue hain
tera bazar kaise chhoD jaen
yahin mahnge yahin saste hue hain
teri copy kitabon ki badaulat
mere parche bahut achchhe hue hain
tumhaari aankhon ne kuchh kah diya hai
tamannaon ke munh phule hue hain
kahin Thokar na lag jae zamin par
sitare zehn mein rakkhe hue hain
banate rahte hain jannat ke naqshe
teri galiyon mein jo bhaTke hue hain
wo pyale hon ki maTke hon ki kuze
sabhi ek chaak se utre hue hain
- Book : Hijr Ki Dusri Dawa (Pg. 47)
- Author : Fahmi Badayuni
- Publication : Rekhta Publications (2022)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.