ye jo hum apni KHanqah mein hain
ye jo ham apnī ḳhānqāh meñ haiñ
is kā matlab tirī nigāh meñ haiñ
thak chukā huuñ maiñ in se mil mil kar
aur kitne daraḳht raah meñ haiñ
sher par daad de rahe ho tum
tanz lekin tumhārī vaah meñ haiñ
ye jo mastī hai ġham kā parda hai
qahqahe gum hamārī aah meñ haiñ
chāñd niklā nahīñ abhī lekin
kuchh sitāre charāġh-gāh meñ haiñ
tum 'fidā' kyoñ nahīñ hue un par
vo jo ab tak tirī nigāh meñ haiñ
ye jo hum apni KHanqah mein hain
is ka matlab teri nigah mein hain
thak chuka hun main in se mil mil kar
aur kitne daraKHt rah mein hain
sher par dad de rahe ho tum
tanz lekin tumhaari wah mein hain
ye jo masti hai gham ka parda hai
qahqahe gum hamari aah mein hain
chand nikla nahin abhi lekin
kuchh sitare charagh-gah mein hain
tum 'fida' kyon nahin hue un par
wo jo ab tak teri nigah mein hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.