ye jo ek lahr mein aankhon ne uchhaala pani
ye jo ik lahr meñ āñkhoñ ne uchhālā paanī
aisā lagtā hai bahut dil ne sañbhālā paanī
ham ko is manzil-e-mushkil se guzarne ke liye
chāhiyeñ phuul tamannā.eñ ujālā paanī
ek paanī ko nazar kuchh bhī nahīñ aatā hai
ek hotā hai miyāñ dekhne vaalā paanī
chāñdnī raat meñ us jhiil kināre koī pal
tum ne dekhā hī nahīñ dekhne vaalā paanī
ham ko is kār-gah-e-hast meñ jiine ke liye
aur kyā chāhiye bas ek nivālā paanī
yaad karte haiñ tujhe ashk bahā lete haiñ
ham ne ai jaan tirī yaad meñ Dhālā paanī
ab na āñkheñ haiñ na dil hai na tirī yādeñ haiñ
aise kartā hai har ik shai tah-o-bālā paanī
ye jo ek lahr mein aankhon ne uchhaala pani
aisa lagta hai bahut dil ne sanbhaala pani
hum ko is manzil-e-mushkil se guzarne ke liye
chahiyen phul tamannaen ujala pani
ek pani ko nazar kuchh bhi nahin aata hai
ek hota hai miyan dekhne wala pani
chandni raat mein us jhil kinare koi pal
tum ne dekha hi nahin dekhne wala pani
hum ko is kar-gah-e-hast mein jine ke liye
aur kya chahiye bas ek niwala pani
yaad karte hain tujhe ashk baha lete hain
hum ne ai jaan teri yaad mein Dhaala pani
ab na aankhen hain na dil hai na teri yaaden hain
aise karta hai har ek shai tah-o-baala pani
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.