ye jo lauTi hai charaghon ko bujha ke pichhe
ye jo lauTī hai charāġhoñ ko bujhā ke pīchhe
hausle aur kisī ke haiñ havā ke pīchhe
chhoḌ kar itnī hasīñ duniyā ko dīvāne log
jaane kyā dekhne jaate haiñ qazā ke pīchhe
Thiik hai us ne duā dī hai tumheñ bhī lekin
us kī ḳhvāhish bhī pata karnā duā ke pīchhe
kaam itnī to chalo aa ga.ī goyā.ī mirī
us kī ḳhushbū hai chalī aa.ī sadā ke pīchhe
us kā paiġhām samajh paa.e nahīñ aur nādāñ
qatl karne lage logoñ ko ḳhudā ke pīchhe
jab bhī chāhūñ ki baḌhūñ aage to maazī kī ye mauj
le ke jaatī hai mujhe aur bahā ke pīchhe
muntazir jis ke the ham ek zamāne se vo
raushnī laa.ī añdheroñ ko chhupā ke pīchhe
tum ko kyā ilm miTā kitne hī qatroñ kā vajūd
muskurātī huī is ek ghaTā ke pīchhe
log ye TuuTe hue yuuñ bhī anā rakhte haiñ
kyūñki chhup jaatā hai bikhrāv anā ke pīchhe
ye jo lauTi hai charaghon ko bujha ke pichhe
hausle aur kisi ke hain hawa ke pichhe
chhoD kar itni hasin duniya ko diwane log
jaane kya dekhne jate hain qaza ke pichhe
Thik hai us ne dua di hai tumhein bhi lekin
us ki KHwahish bhi pata karna dua ke pichhe
kaam itni to chalo aa gai goyai meri
us ki KHushbu hai chali aai sada ke pichhe
us ka paigham samajh pae nahin aur nadan
qatl karne lage logon ko KHuda ke pichhe
jab bhi chahun ki baDhun aage to mazi ki ye mauj
le ke jati hai mujhe aur baha ke pichhe
muntazir jis ke the hum ek zamane se wo
raushni lai andheron ko chhupa ke pichhe
tum ko kya ilm miTa kitne hi qatron ka wajud
muskuraati hui is ek ghaTa ke pichhe
log ye TuTe hue yun bhi ana rakhte hain
kyunki chhup jata hai bikhraw ana ke pichhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.