ye jo main hun koi dhoka hi sahi yunhi sahi
ye jo maiñ huuñ koī dhoka hī sahī yūñhī sahī
jism kī qabr kā katba hī sahī yūñhī sahī
ḳhaak paḌtī rahī kitne hī zamānoñ kī magar
zaḳhm-e-dil aaj bhī taaza hī sahī yūñhī sahī
dar-o-dīvār se lipTā huā ye sannāTā
shor kartā huā qissa hī sahī yūñhī sahī
āḳhir-e-kār mujhe raakh to ho jaanā hai
ek pal ke liye sho'la hī sahī yūñhī sahī
ġham-e-duniyā bhī mire dil ke samundar meñ girā
aaj kuchh dard ziyāda hī sahī yūñhī sahī
kam se kam us se mulāqāt to ho jaatī hai
ḳhvāb hujre kā darīcha hī sahī yūñhī sahī
is kī chhāñv tale purkhoñ ke zamāne guzre
har shajar sūrat-e-shajara hī sahī yūñhī sahī
yaad aatā hai koī tark-e-ta.alluq par bhī
aur ye baat hamesha hī sahī yūñhī sahī
mutma.in huuñ ki koī to mirā nigrāñ hai 'zafar'
mere pīchhe mirā saaya hī sahī yūñhī sahī
ye jo main hun koi dhoka hi sahi yunhi sahi
jism ki qabr ka katba hi sahi yunhi sahi
KHak paDti rahi kitne hi zamanon ki magar
zaKHm-e-dil aaj bhi taza hi sahi yunhi sahi
dar-o-diwar se lipTa hua ye sannaTa
shor karta hua qissa hi sahi yunhi sahi
aaKHir-e-kar mujhe rakh to ho jaana hai
ek pal ke liye sho'la hi sahi yunhi sahi
gham-e-duniya bhi mere dil ke samundar mein gira
aaj kuchh dard ziyaada hi sahi yunhi sahi
kam se kam us se mulaqat to ho jati hai
KHwab hujre ka daricha hi sahi yunhi sahi
is ki chhanw tale purkhon ke zamane guzre
har shajar surat-e-shajara hi sahi yunhi sahi
yaad aata hai koi tark-e-talluq par bhi
aur ye baat hamesha hi sahi yunhi sahi
mutmain hun ki koi to mera nigran hai 'zafar'
mere pichhe mera saya hi sahi yunhi sahi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.