ye jo parda hai kisi roz uThaya jae
ye jo parda hai kisī roz uThāyā jaa.e
kaun huuñ maiñ ye zamāne ko batāyā jaa.e
aarzū ye hai ki dīvāna kahā jaa.e mujhe
naam le kar na mirā mujh ko bulāyā jaa.e
jumbish-e-chashm se naġhma huī jaatī hai fazā
kyā qayāmat ho laboñ ko jo hilāyā jaa.e
vo mirī fikr kī bāñhoñ meñ nahīñ aa saktā
sochtā huuñ use siine se lagāyā jaa.e
jis kā ma.abūd hai chaḌhtā huā sūraj 'bedī'
us ko ehsās añdhere kā dilāyā jaa.e
ye jo parda hai kisi roz uThaya jae
kaun hun main ye zamane ko bataya jae
aarzu ye hai ki diwana kaha jae mujhe
nam le kar na mera mujh ko bulaya jae
jumbish-e-chashm se naghma hui jati hai faza
kya qayamat ho labon ko jo hilaya jae
wo meri fikr ki banhon mein nahin aa sakta
sochta hun use sine se lagaya jae
jis ka mabud hai chaDhta hua suraj 'bedi'
us ko ehsas andhere ka dilaya jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.