ye jo paude hain junun ke ye jawan bhi honge
ye jo paude haiñ junūñ ke ye javāñ bhī hoñge
rashk-e-sahrā hī nahīñ rashk-e-ḳhizāñ bhī hoñge
itnā nazdīk se mat dekh mirī āñkhoñ ko
in meñ kuchh pichhlī mohabbat ke nishāñ bhī hoñge
pyaas hī pyaas hai bīnā.ī ke kashkoloñ meñ
ashk āñkhoñ se bacheñge to ravāñ bhī hoñge
us kī ḳhushbū hī nahīñ aatī mirī sāñsoñ se
ġhaur se dekhiye hoñToñ ke nishāñ bhī hoñge
ye jo lapTeñ abhī uTThī haiñ mirī shohrat kī
in meñ kuchh log abhī jal ke dhuāñ bhī hoñge
ye jo paude hain junun ke ye jawan bhi honge
rashk-e-sahra hi nahin rashk-e-KHizan bhi honge
itna nazdik se mat dekh meri aankhon ko
in mein kuchh pichhli mohabbat ke nishan bhi honge
pyas hi pyas hai binai ke kashkolon mein
ashk aankhon se bachenge to rawan bhi honge
us ki KHushbu hi nahin aati meri sanson se
ghaur se dekhiye honTon ke nishan bhi honge
ye jo lapTen abhi uTThi hain meri shohrat ki
in mein kuchh log abhi jal ke dhuan bhi honge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.