ye jo sae sata rahe the mujhe
ye jo saa.e satā rahe the mujhe
kis liye aazmā rahe the mujhe
ḳhud hī manzar se haT ga.e ho tum
rāste se haTā rahe the mujhe
apne andar jo jhāñk kar dekhā
kitne hī dard khā rahe the mujhe
maiñ gul-e-aks thā sabhī chehre
aa.ine meñ khilā rahe the mujhe
koī naġhma na giit huuñ phir bhī
vasvase gungunā rahe the mujhe
maiñ añdhere meñ thā magar kuchh log
raushnī meñ bulā rahe the mujhe
ho gayā maiñ 'fidā' haqīqat par
ḳhvāb saare satā rahe the mujhe
ye jo sae sata rahe the mujhe
kis liye aazma rahe the mujhe
KHud hi manzar se haT gae ho tum
raste se haTa rahe the mujhe
apne andar jo jhank kar dekha
kitne hi dard kha rahe the mujhe
main gul-e-aks tha sabhi chehre
aaine mein khila rahe the mujhe
koi naghma na git hun phir bhi
waswase gunguna rahe the mujhe
main andhere mein tha magar kuchh log
raushni mein bula rahe the mujhe
ho gaya main 'fida' haqiqat par
KHwab sare sata rahe the mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.