ye jo shikwa hai zamane se baja hai to sahi
ye jo shikva hai zamāne se bajā hai to sahī
lekin ai dil koī apnī bhī ḳhatā hai to sahī
ḳhūgar-e-sheva-e-taslīm-o-razā ho jaanā
ye bhī minjumla-e-ādāb-e-vafā hai to sahī
kaash is āġhāz kā anjām bhī ai dil ho ba-ḳhair
is ke lahje meñ talattuf kī adā hai to sahī
is liye chup huuñ ki baat aur na baḌh jaa.e kahīñ
varna sach ye hai ki kuchh tum se gila hai to sahī
aur ab dard-e-mohabbat kī davā kyā hogī
be-ḳhabar dard ye aap apnī davā hai to sahī
ye jo shikwa hai zamane se baja hai to sahi
lekin ai dil koi apni bhi KHata hai to sahi
KHugar-e-shewa-e-taslim-o-raza ho jaana
ye bhi minjumla-e-adab-e-wafa hai to sahi
kash is aaghaz ka anjam bhi ai dil ho ba-KHair
is ke lahje mein talattuf ki ada hai to sahi
is liye chup hun ki baat aur na baDh jae kahin
warna sach ye hai ki kuchh tum se gila hai to sahi
aur ab dard-e-mohabbat ki dawa kya hogi
be-KHabar dard ye aap apni dawa hai to sahi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.