ye jo surahi jam ghaDe hain janab-e-man
ye jo surāhī jaam ghaḌe haiñ janāb-e-man
ḳhālī kisī sabab se paḌe haiñ janāb-e-man
vā'doñ ke jis maqām pe chhoḌā thā aap ne
ham aaj tak vahīñ pe khaḌe haiñ janāb-e-man
daulat nahīñ to kyā hai mirī shā'irī to hai
har har ġhazal meñ motī juḌe haiñ janāb-e-man
ye jo machī hai baañs ke jangal meñ khalbalī
ham jogiyoñ ko saañp laḌe haiñ janāb-e-man
ginvā rahe the 'aib mire thoḌī der qabl
ab sharm se zamīñ meñ gaḌe haiñ janāb-e-man
kaj-bahsiye bhī fahm-o-farāsat meñ kam nahīñ
shā'ir bhī aap jaise baḌe haiñ janāb-e-man
rāh-e-junūñ meñ saath muqaddar hī de to de
ye marhale hanūz kaḌe haiñ janāb-e-man
aisā nahīñ ki phuul daraḳhtoñ hī se gire
kuchh shāḳh-e-chashm se bhī jhaḌe haiñ janāb-e-man
yā to mushā'ire ko uThātā hai ye faqīr
yā vo ki jin ke baal baḌe haiñ janāb-e-man
ikrām jhūlte haiñ mohabbat ke peḌ se
kuchh din se shāḳh-e-dil pe aḌe haiñ janāb-e-man
ye jo surahi jam ghaDe hain janab-e-man
KHali kisi sabab se paDe hain janab-e-man
wa'don ke jis maqam pe chhoDa tha aap ne
hum aaj tak wahin pe khaDe hain janab-e-man
daulat nahin to kya hai meri sha'iri to hai
har har ghazal mein moti juDe hain janab-e-man
ye jo machi hai bans ke jangal mein khalbali
hum jogiyon ko sanp laDe hain janab-e-man
ginwa rahe the 'aib mere thoDi der qabl
ab sharm se zamin mein gaDe hain janab-e-man
kaj-bahsiye bhi fahm-o-farasat mein kam nahin
sha'ir bhi aap jaise baDe hain janab-e-man
rah-e-junun mein sath muqaddar hi de to de
ye marhale hanuz kaDe hain janab-e-man
aisa nahin ki phul daraKHton hi se gire
kuchh shaKH-e-chashm se bhi jhaDe hain janab-e-man
ya to musha'ire ko uThata hai ye faqir
ya wo ki jin ke baal baDe hain janab-e-man
ikram jhulte hain mohabbat ke peD se
kuchh din se shaKH-e-dil pe aDe hain janab-e-man
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.