ye jo tufan mere shahr mein aaya hua hai
ye jo tūfān mire shahr meñ aaya huā hai
ye bhī un shoḳh nigāhoñ kā uThāyā huā hai
jaane jis ḳhvāb kī ta.abīr liye phirtā huuñ
ek dariyā hai jo āñkhoñ meñ samāyā huā hai
jo ye kahtā hai badan chhoḌ ke bāhar aa jā.ūñ
us se kah do abhī ghar meñ koī aaya huā hai
hāl-e-dil kaise sunā.ūñ kī tirī āñkhoñ ne
ek pahra mire hoñToñ pe biThāyā huā hai
sar meñ us ke bhī kahāñ ishq kā saudā koī
Dhoñg ham ne bhī mohabbat kā rachāyā huā hai
vo jahāñ husn kī qīmat se matā-e-dil-o-jāñ
ye bhī saudā usī bāzār se laayā huā hai
ek ik iiñT batā.egī 'ziyā' dekho to
jis meñ rahte ho vo ghar kis kā banāyā huā hai
ye jo tufan mere shahr mein aaya hua hai
ye bhi un shoKH nigahon ka uThaya hua hai
jaane jis KHwab ki tabir liye phirta hun
ek dariya hai jo aankhon mein samaya hua hai
jo ye kahta hai badan chhoD ke bahar aa jaun
us se kah do abhi ghar mein koi aaya hua hai
haal-e-dil kaise sunaun ki teri aankhon ne
ek pahra mere honTon pe biThaya hua hai
sar mein us ke bhi kahan ishq ka sauda koi
Dhong hum ne bhi mohabbat ka rachaya hua hai
wo jahan husn ki qimat se mata-e-dil-o-jaan
ye bhi sauda usi bazar se laya hua hai
ek ek inT bataegi 'ziya' dekho to
jis mein rahte ho wo ghar kis ka banaya hua hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.