ye junun mujh pe lagatar nahin rahta hai
ye junūñ mujh pe lagātār nahīñ rahtā hai
hijr ab terā asar-dār nahīñ rahtā hai
vaqt kaisā bhī ho tum saath nibhānā sīkho
peḌ har saal samar-dār nahīñ rahtā hai
jo bhī aa jaatā hai dahlīz pe terī saaqī
phir vo duniyā se ḳhabar-dār nahīñ rahtā hai
ishq meñ ho ke miyāñ aql kī bāteñ karnā
koī itnā bhī samajhdār nahīñ rahtā hai
ek hī shaḳhs se do baar agar ho jaa.e
phir mohabbat meñ vo me.aar nahīñ rahtā hai
zindagī jo bhī tirī dhun pe nahīñ nāchtā hai
vo adākār samajhdār nahīñ rahtā hai
ye junun mujh pe lagatar nahin rahta hai
hijr ab tera asar-dar nahin rahta hai
waqt kaisa bhi ho tum sath nibhana sikho
peD har sal samar-dar nahin rahta hai
jo bhi aa jata hai dahliz pe teri saqi
phir wo duniya se KHabar-dar nahin rahta hai
ishq mein ho ke miyan aql ki baaten karna
koi itna bhi samajhdar nahin rahta hai
ek hi shaKHs se do bar agar ho jae
phir mohabbat mein wo mear nahin rahta hai
zindagi jo bhi teri dhun pe nahin nachta hai
wo adakar samajhdar nahin rahta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.